Kitni baatein....
Kitni baatein yaad aati hain
Tasveer aisi ban jaati hai
Main kaise inhe bhoolun
Dil ko kya samjhaun
Kitni baatein kehne ki hain
Hothon par jo sehmi si hain
Ek roz inhe sun lo
Kyon aise gumsum ho
Kyon poori ho na paayi daastan
Kaise aayi hain aisi duuriyan
Dono ke dilon mein chhupa hai jo ek anjaana sa gham
Kya ho payega wo kam
Koi kya kahe
Dono ne jo kabhi zindagi ki ek mod pe thee jo paayi
Hai kaisi wo tanhayee
Koi kya kahe
Kitna veeran hai ye sama
Saanson mein jaise ghulta hai dhuan
Kaise aayi hain aisi duuriyan
Kitni baatein....
Tumse aaj yun milke dil ko yaad aaye lamhe kal ke
Ye aansun kyon hai chhalke
Koi Kya kahe
Tumne humko dekha jo aise to ek ummeed hai jaagi
Phir tumse pyaar paane ki
Ab kya kahein
Aa gaye hum kahan se kahan
Dekhe mood ke ye dil ka kaarwaan
Kaise aayi hain aisi duuriyan
Kitni baatein
2 Comments:
Haan yehi rasta hai tera, tune ab jaana hai
Haan yehi rasta hai tera, tune ab jaana hai
Haan yehi sapna hai tera, tune pehchaana hai
Haan yehi rasta hai tera, tune ab jaana hai
Haan yehi sapna hai tera, tune pehchaana hai
Tujhe ab ye dikhaana hai
Roke tujhko aandhiyaan, ya zameen aur aasmaan
Paayega jo lakshya hai tera
Lakshya toh har haal mein paana hai
Mushkil koyi, aajaaye toh, parbat koyi, takraaye toh
Taaqat koyi, dikhlaaye toh, toofaan koyi, mandlaaye toh
Mushkil koyi aajaaye toh, parbat koyi takraaye toh
Barse chaahe ambar se aag, lipte chaahe pairon se laakh -2
Paayega jo lakshya hai tera
Lakshya toh har haal mein paana hai
Himmat se jo koyi chale, dharti hille qadmon tale
Kya dooriyaan kya faasle, manzil lage aake gale
Himmat se jo koyi chale, dharti hille qadmon tale
Tu chal yunhi ab sub-o-shaam, rukna, jhukna nahin tera kaam -2
Paayega jo lakshya hai tera
Lakshya toh har haal mein paana hai
Haan yehi rasta hai tera, tune ab jaana hai
Haan yehi sapna hai tera, tune pehchaana hai
Tujhe ab ye dikhaana hai
arre bhai ye koi "yaadon ki baarat"-ish competition nahi ho raha.. :-)..
Post a Comment
Subscribe to Post Comments [Atom]
<< Home